For the first time ever, HSY introduces affordable festive collection for the women of Pakistan, named after his mother
Rehana Collection starred by the women of substance is a tribute to the remarkable women who inspired it all on multiple levels. “Rehana” is a celebration of the spirit of womanhood, paying homage to the silent yet
tenacious women who tirelessly uplift us every day.
HSY presented an affordable festive collection, for the first time on Women’s Day to celebrate the women
of substance, because they all deserve to wear what they love.
Tammana mey, taqdeer mey,
Khuwab ki tabeer mey
Shayer ki tehreer mey, soorat mey, tasweer mey
Deewanay ki sada bhi mey, manzil mey wafa bhi mey
Mey wo roshni hun jo aghaz degi, jo lafzon ko awaz degi
Bus in lafzon ko parhti jao, nikharti jao, sanwarti jao
— Sajal Aly —
Maa hun mey, himmat hun mey
Had bhi mey, bey hud bhi mey
Pehli muhabbat bhi mey, akhri ulfat bhi mey
Zindagi ka wasta bhi mey, jannat ka rasta bhi mey
Mey wo shohrat jo naam degi, mey wo muhabbat jo thaam legi
Is shohrat ko le keh charhti jao, is muhabbat ko le keh barhti jao
— Sarwat Gilani —
Hamari intehaye shauq kya hai,
humay har rah guzar pehchaan legi
Hamaray samnay manzil nishaan hai,
nayi subho hamay bhi jaan legi
Is shauq mey machalti jao,
is subho mey ubharti jao
— Hadiqa Kiani —
Jurrat hun mey, taaqat hun mey,
Justajoo mey, azaadi mey
Sitaron ki chamak bhi mey, baharon ki ramaq bhi mey
Ranj mey shafaq bhi mey, umeed ki jhalak bhi mey
Mey wo aandhi hun jo toofan degi, mey wo barish hun jo gulistan degi
Bus aandhi ki tarha larti jao, rukti kyun ho, karti jao
— Saba Qamar —